Jab fauje kirdigar mei koyi nahi bacha Ruksath ko aaye khaime-mei shehen-shaey karbala Pohunche khaya-me zainab-o-kulsoom ke kareeb Awaaz di behan ko aur Shabbir ne kaha ZAINAB FEEAMANALLAH ZAINAB FEAMAANALLAH Ab aakhri fareeza-ye khaliq bhi ho ada Mai marne ja-raha hun tumhe kehke alwida Lashkar me koyi baki nahi hai mere siva Koyi sipahi fouje udo ka nahi raha Ab mera janasheen hai sajaad be-khata Rehna hai uske saath tumhe bade karbala Din bar to meine lasho pe lashe uthaey hai Na-jane kitne zakhm kalaije pe khaye hai Ab akhri salaam ko khaime-mei aaye hai Zakhmo ne dardo-ghamne mujhe kar diya nid-haal Mai katl hone wala hu iska nahi malal Reh-rehke beridayi ka ata hai ab khayal Rakhna khayal meri Sakina ka ay behan Soyegi kaise khak ke bistar pe pur mahan Royegji jab-bhi yaad use ayega watanYe kehke al faraaq chale shahe behro bar Nikle kaman zulm se O teer aur tabar Ki khamaey haram ki taraf akhri nazar Ghoday se khak pa-giray sultane karbala Tathir ro rahi thi tadap ne lagi kisa Jalti zami pe sajda kiya aur yeh kaha MAZHAR ajeeb waqt tha Zehra ke laal par Manzar ye dekhti thi behan sar ko pit kar Ye keh ke suwe khuld kiya shah-ha ne safar ***********************
8. Zawwar chup hai saara baqaiyya udaas haikarbobala khamosh madina udaas haihar ek nabi ka chahne wala udaas haibibi ko qabr mein bhi sukoo'n hai na chayn haihai pasliyo'n pe haath zabaa'n par Hussain hai
Ali Ka Chahne Wala Sajjad Ali
2ff7e9595c
Comments